Monday 24 June 2013

HAZRAT ALI A.S K AQWAAL... ZRUR PARHEN


1. wo gunah jis se tmhen ranj ho us naiki se behter hai jis ki wjah se ghroor
paida ho jaye . ( Hazrat Ali a.s).
_____________
2. kisi ne Hazrat ALI a.s se poocha.
"dost aur bhai mein kya farq hai?"
Aap ne farmaya.
" bhai sona hai aur dost heera hai"
us admi ne kaha.
"Aap ne bhai ko km keemt aur dost ko keemti cheez se
q tashbih di?"
to Aap ne farmaya:
  "sony mein agr draarr a jaye to usy pighla ker pehle jaisa bnaya ja skta
   hai.jab keh heery mein ek draarr a jaye to wo pehle jaisa kbhi ni
   ban skta."
________________
3. " agr kisi ka zarf azmana ho to usy izzat do!
     agr wo aala zarf hua to tum ko izzat de ga
    aur agr km zarf hua to khud ko AALA ZARF smjhe ga.."
_______________
4.Hazrat ALI A.S ka farman hai:
  " bura dost koely ki mannd hota hai
  agr jalt ho ga to ap ko jla de ga aur
   agr bhuja ho ga to ap ke hath kaly
       ker de ga".
____________
5."Azmaye huye ko amana bewakufi hai"
__________________
6.Hazrat Ali r.a sys:
 " tumhary 3 dost hain 
   1. tumhara dost
    2. tmhary dost ka dost
   3.tmhary dushman ka dushman.
 TUMHARY 3 DUSHMAN HAIN
   1.tumhara dushman
   2. tmhary dushman ka dost
   3.tmhary dost ka dushman,"
___________________
7. Hazrat ALI R.A ne eid ke din ro ro k bura hal ker lia
   naye kapry na pehny aur sukhi roti khany lagey. kisi ne pucha
  aj to eid hai Aap ne koi tyari ni ki.Aap ne farmaya eid to un ki
   hai jin ko ALLAH ne muaf ker dia .
________________
8.HAZRAT ALI R.A says;
  " apne dushman ko 1000 moka do keh wo tmhara dost ban jaye
   mgr apne dost ko 1 bhi moka na dena keh wo tmhara dushman ban
    jaye ".
_____________
9.HAZRAT ALI  
    jub meri dua qabool ho tu main khush hota hun k is mein meri marzi hai
   aur jo meri dua qabool na ho to main aur khush hota hun k us
   mei ALLAH ki marzi hai .
 ____________
10.IKHTYAR, DAULAT aur TAAQAT aisi
chezen hain jin k milne se log bdlte ni
   balkeh Benaqab hote hain.(Hazrat ALI A.S).
 _______________
11.agr tum kisi ko chota  dekh rahe ho,
    to ya to tum usy  door se dekh rahe ho,
    ya phir gharur se dekh rahe ho,
         (HAZRAT ALI A.S).
_____________
12.Gareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
       (Hazrat ALI  a.s)
____________
13.sab se brra gunah woh hai jo krne waly ki nazar mein chota ho,
          (HAZRAT ALI A.S)
_______________________
14."Mujhe jannat se zyada masjid mein bethna acha
      lagta hai, kiun keh jannat mein mera nafs khush ho
      ga aur masjid mein mera RABB khush ho ga,"
                (Hazrat ALI).
_______________
15.Main jannat k shauk mein ibadat ni krta
 q k yeh ibadat ni tijart hai,
   main dozakh k khouf se ibadt ni krta
   q k ye ibadt ni Ghulami hai,
  main ibadt sirf is liye krta hun k
    mera RAB ibadt k laiq hai,./
   (HAZRAT ALI A.S)
____________________
16 EK shakhs ne Hazrat ALI se pucha,
    Q: Qareeb kya hai?
    A: Qayamat.
    Q: aur qareeb ter ?
    A:  MAUT.
    Q:ajeeb kya hai?
    A: Dunya,
    Q: Aur ajeeb tar?
    A: talib e dunya ,
    Q:wajib kya hai?
    A: toba,
    Q: aut wabib tar ?
    A: gunah k foran bad toba.
    Q: mushkil kya hai ?
   A: kabr mein utrna.
   Q: aur mushkil tar ?
   A:  amal ke baghair kabr mei utrna.
__________________

17. apni zuban ki tezi us per mt azmao jis ne tumhen
      bolna sikhaya . (Hazrat ALI A.S).
_______________

Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain! ( Hazrat ALI R.A ).
 ______________
19. 
“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..”
( Hazrat ALI R.A).

 _________________
20. 
4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay!.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho!..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Main Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain….!!!
( Hazrat ALI R.A).

 _____________
21.; 
Buraee main kisi ka sath dena Ghatiya pan aur khuda k sath bad diyanti hay!.( Hazrat ALI R.A )
 ________________
22. 
kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharoor ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A ).

____________
23.
“Golden Words”
“Her INSAN ki izzat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai”
( Hazrat ALI R.A ).

 _________________
24. 
Barish ka Qtra SeepAur Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jaesa Zarf waesi uski Takhliq
( Hazrat ALI R.A ).

 __________________
25.
Tum accha karo aur zamana tum ko bura samjhe!
ye tumaray haq main behtar hai
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe!
( Hazrat ALI R.A ).

 _____________
26. 
Jahan Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI R.A ).

 ____________
27. 
Bay shak dunya aor akhrat ki misal
aisi ha jasay 1 shaks ki 2 bvian(wives)
hon 1 ko razi karta ha to dosri rooth
jati hai!
HAZRAT ALI(RA).

 ________________
28. 
Agr kisi ka ban’na chahtay ho to pori hakeqat se ban jao… warna,apni zaat mn aisi hakeqat peda kr lo k koi hakeqat mien tumhara ban jaye…!
(HAZRAT ALI R.A).

 _____________
29. 
¤(HAZRAT ALI )
“Agr koi tumhara dil dukhaey to naraz na hona Qyoun K Qanoon e Qudrat hay k jis darakht p ziada meetha phal hota hay usay log ziada patthar marte hain!.

_______________
30.
Teen kaam kisi k dil main ap ki izzat barhatay hain!:
1- Salam karna.
2- Kisi ko majlis mein baithne ki jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.”Yaani Pure Naam se mukhatib karna!
(HAZRAT ALI R.A).

 ______________
31. 
HAZRAT ALI (KAW) said
Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein Khobsorat aur Asar mein Khatarnak hai!.

______________
32.
Achi zindagi guzarney ke 2 tareekhay hain!.
¤ Jo pasand hai usay hasil kr lo!
ya Phr
¤ Jo hasil hai usay pasand kr lo!. Yaani Qhina’at ikhtiyar karo!
(HAZRAT ALI R.A).

 _______________
33. 
TEEN Insan 3 chezon se mehroom rahenge!
1.Ghussay wala Durust faisly se!
2.Jhoota Izzat se!
3.Jald baaz Kamyabi se.
(Hazrat Ali R.A).

 _______________
34. 
Allah k nazdeek sab say ziada gunah gar cheez jhoot bolnay wali zuban hai!.
(Hazrat Ali RA, Nuzhat ul Majalis, page 510)..

 __________
35. 

GULAB KA PHOOL BNO!KYUNKE YEH PHOOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI.”HAZRAT ALI A.S..
 ________________
36. 
khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko poora kar deti hai!,
lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti!.
(Hazrat ALI) A.S.

 ___________
37. 
Agr Tum Usy Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tu Usy Zroor Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hai
Qiyun K Chahne Se, Chaahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hai!
HAZRAT ALI (R.Z).

 ____________
38. 
Koshish Karo K tum dunia main Raho Dunia Tum me Na rahy Qiyon k kashti jab tak pani main hoti hay taerti hai aur jab pani kashti main aa jata ha to Doob Jati hay!.
        (HAZRAT ALI A.S).
___________ 
plz give your comments.

No comments:

Post a Comment

A Trick Of Windows XP

Get Genuine CD key Of Windows XP Assalam o alaikum kya ap ko pta hai k windows ki CD key windows ki disk mein hoti hai , lekin kisi...